Saturday 29 July 2017

Kam Samay Me Exam Ki Tayari Kaise Kare ? In Hindi


Har class me kuch bacche aise hote hai jinki attendance 100% hoti hai or wo koi bhi class miss nahi karte jhahe koi marrige ho, baris aaye, toofan aaye wo hamesa hi class me hi dikhenge. Wo hamesa notes banate rahte hai. Unka chasma har class ke bad mota hota jata hai or techers bh unhi taraf dekh ke padhati hai , baki students se koi ummid hi nahi hoti. Aise students pass karne ke liye nahi balki TOP karne ke liye padhte hai. par main aisa nahi tha, main pure saal bahut kam classes attend karta tha or kabhi class me pahunch jau to sath wale se puchna padta tha ki aaj kon sa chapter chal raha hai. Par in sab ke bawajud main itne acche marks le aata tha ki main result ke mamle me class ke top 4-5 student ke barabar tha. Apna yahi formula aaj main aap logo ko batane wala hu.
Ye article sayad un logo ke liye na ho jo top karne ke liye padhte hai , par ye unke liye hai jo exam me acche mark score nahi kar pate.
Main pure saal bina padhe hi acche mark hasil kar leta tha, ab mere ye formula janane se pehle ho sakta hai ki aapke dimag me ye question aa raha ho ki main pure saal rehta kaha tha ? classes kyo nahi attend karta tha ?
Actually mere padhai se jyada kisi or chij me maan lagta tha. Hamari society me classes miss karne wale ko gunehgar ki najaro se dekha jata hai. Par duniya me sab tarah ke students hai, kuch aise hai jonko classes miss karke ghumana-firna pasand hai or kuch aise bhi hai jinko apne father ko help karne ke liye dukar par baithna padta hai.

Mera case alag tha, main drawing-painting me apne college ko zonal level me, state lavel pe represent karta tha. Isliye kai-kai mahine tayyari me nikal jate the, practice karte huye nikal jate the. Or isiliye main college me to hota tha par class me nahi. Meri attendance short hone pe college wale hi puri kar dete the kyonki drawing-painting bhi to unhi ke liye karta tha.
Agar meri ye sab bate sunke aapke maan me aaraha hai... Isiliye number bhi aise hi mil jate honge ... To aisa nahi tha. Ek bar main class me gaya or us din test tha, test ke bich me maine apne professor se pucha ki ya question syllabus me hai ? 

To unhone mujhse kaha ki ye us din padhaya gaya tha jis din tum dwaring-painting ke liye gayab the.
Tab mujhe laga ki main aisa kya karu ki meri hobby bhi chalti rahe or markes bhi aa jaye. Tab ye formula bana jo main aaj aapke sath share karne wala hu.

1. Exam se 30 din pahle padhai pe lag jata tha

Maan lo ki mere exam 31 march ko hai , to main 1st march se padhai suru kar deta tha. Sabse pahle main apne samne date sheet rakhta tha. Uske mutabik sare subject ki book ek jagah ikkatha kar leta tha. Jab main aisa nahi karta tha to mujhe exam ke dino me pata chalta tha ki ye book to meri gum ho gai hai, wo book to maine dost ko di thi. Isliye no surprises, sari book ek jagah ikkatahi kar lo tab time waste nahi karna hai. Un sab books ko room ke ek kone me rakh deta tha or gharwalo ko bolta tha ki mere exam khatam hone tak koi in books ko na chhede.

2. Har subject ko 5 din padhna hai.

main plan karte tha ki har subject ko 5 din padhna hai o un 5 dino ko bhi divide kar leta tha ke din us subject ke exam se bilkul pehle or baki do din exam suru hone se pahle jo maine 30 din reserve kiye hai us doran. Is hisab se agar mera pehla exam 31 march ko hai to main 28 29 or 30 ko pehle exam ki tayyari karunga kyonki ye us exam se pehle ke 3 din hai.
maan lo ki mre 7 subject hai agar har subject ko do din du to mujhe chaiye 14 days . 

Ab to main 28 se booked hu pehle exam ki main tayyari ke liye isliye ussay pehle ke 14 days honge sare subjuct ke revision ki tayyari. Ab pehle exam ki date se pehle ke 3 days or 14 days yani 17 days booked hogaye. Ab baki 13 days kya karna hai ? yani 1st march se 13 march tak main kya karunga ?

Ab main tough or easy subject ko mark kar leta tha. Har kisi ke easy or difficult subject alag ho sakte hai. To pahle 13 days main tough subject ke liye extra tayyari ke liye reserved kar leta tha.

3. Sample paper

Market me sample paper milte hai jinse idea lag jata hai ki kon se topic important hai. Exam me kaise question aate hai. Market me guide books bhi milti hai. Main in sample paper ka format samajhne ki kosis karte tha ki exam ke point of view se kis tarah ke topic important hai or kis tarah ke question exam me aa sakte hai.

4. Padhai suru

Sabse pehle theory. Exam me definition likhne ke accha marks milte hai. Isliye me in extra tayyari (1-13 march) ke dino me har topic ki 2 definition yaad karta tha. Aisi tayyari karte tha ki kisi bhi definition ko padh kar ye bata saku ki usay kisne likha hai. Or kisika bhi naam padh ke ye bata saku ki usne kon si definition likhi hai.
Sample paper ke mutabik important numerical ki karta tha.

5. Mini tayyari suru (14-27 march)

Isme har subject ke d 2 din hai . Main sabse pehle sabse muskil, ya boring ya lengthy subject pakadta tha or karte-karte easy subjects par aa jata tha. Taki exam ke pas pahuchne tak mujhe thoda confidence aa jaye ki kuch to tayyari hui hai . 

Tayyari ke douran mere padhne ka tarika bahut hi important tha or sayad yahi mera sabse bada hathyar tha. Ek hath me book hoti thi or dusare hath me pencil. Main puri book ko 2 dino me padhta tha or sath sath important words, headings, name, sentances ko underline karta jata tha.

Ab aap ye sochoge ki important kya hai ye main kaise deside  karta tha ? Meri sample paper ke research ke mutabik . MIn jab bhi kuch underline karta tha to underline karte huye us word, ya sentance ko muh se bhi bolta jata tha.

Ab baat karte hai padhai ke bich brakes ki...

Min kabhi bhi time ke hisab se brake nahi leta tha. Main hamesa chapter ke hisab se brake leta tha ki in 3 chapter ke bad brake lunga, in 2 chapters ke bad main break lunga. Issay padhai ka flow nahi tootata. Lunch se pahle jitna jyada hosake padh leta tha. Fir lunch ke bad 1-2 ghante ki neend kyonki brane ke liye rest bahut jaruri hai. Uske bad sham ko uthkar fir padh liya, fir dinner ke bad 11 baje tak or padh liya. Main har hal me main 2 din me apni puri speed ke sath puri book padh leta tha.
Dusari raat ko sone se pehle agale din se jo subject padhna hai uski book nikalkar usme pencil rakhkar hi sota tha.

7. Exam se 3 din pehle main tayyari suru karte huya main apna pura focus usi subject par rakhta tha. Puri book dubara padhta tha par is bar underline words par khas dhyan dete huye. Pencil haath me hi rahti thi ki agar kuch or important mil jaye to usay bhi underline kar lu. In 3 dino me main khud ko test karta rahta tha. Jaise ki answer ke upar hath rakh ke khud se answer sochna jissay mujhe pata chalta tha ki mujhe kya-kya yaad hai.
Ab kabhi-kabhi 2 exams ke bich me 3 din se jyada din bhi mil jate the to kai bar main pura din rest bhi kar lete tha ya fir halka-fulka padh bhi leta tha, par wo aakhri 3 dino wali mehnat ,aakhri ke tin dino me hi karte tha.

8. Exam ke liye ghar se nikal se pehle ke 6 ghanto me mera ye routing hota tha. Pehle 4 ghanto me main puri book ke underline words padhta tha. Panchve ghante me 1 liter pani pita tha or uske bad nahana or tayyar hona. Jab tak ke main ghar se nahi nikalta tha , main book ke randomly ek page kholta or underline words ko padhta, fir se book ke randomly ek page kholta or underline words ko padhta. Main exam se 30 minute pahle hi pahuch jata or jo student padhai me serious hai unke pas chala jata tha, agar wo revice kar rahe hai to dekh liya ki wo kya revice kar rahe hai ya unse puch liya ki kya important lagta hai.

9. Mera manana hai ki jab question paper mile to ek najar pure question paper pe dal lo. agar aapko aakhir ke question aate hai to aap suru ke question me speed pakad sakte ho, short me likh sakte ho. Par agar aapko aakhir ke question nahi aate to aapke liye jaruri ho jata hai ki jo aat hai usi me pura jor laga diya jaye , taki kahi se to number aaye. Or ye aapko tabhi pata chalega jab aapne pura question paper dekha hoga.

Log kahte hai ki question paper ko ulta suru karna chahiye, jyada marks wale questions pehle attept karo . Mujhe lagta hai ki is baat ko bhi aankhain band karke follow nahi karna chahiye Har insan ki apne strengh or weaknesses hoti hai. Koi theory me accha to koi numerical me accha hai. Mujhe hamesa lagta hai ki 15 marks wale lambe-lambe answers pehle karte huye hum mentally thak jate hai. Handwriting pe bhi asar padta hai. 

Or ek lamba-chouda answer likhne ke bad bhi lagta hai ki abhi ek hi answer hua hai. Or dusari taraf 10 chote-chote questions karne ke bad hume aisa lagta hai ki aadhi question solve kar di, or isi thinking se hamari energy bhi bani rahti hai, maind bhi fresh rahta hai.

1 comment:

  1. Emperor Casino | Shootercasino
    Play & Win with our range of casino games that 바카라 allow you to win real septcasino money. Play online or download our games 제왕카지노 for free. ✓No Sign-up Required.

    ReplyDelete

9 Amazing methods to boost your self-confident

No one can deny that self-confidence is a very important quality to achieve success in life. In every person who has reached a certain poin...