Aaj hum apko batayenge ki 12th class ke bad kya kar sakte hai.
Agar aapne Science me Physics, chemistry or Math chose kiya hai , to aapke pas ye option hai.
- Engineering
- Physics
- Automobile Engineering
Eligibility - Car or automobile me dilchaspi, maths or physics me expert or tools ki dilcaspi.
Education -
- Diploma - 10
- BE/ B.Tech - 10+2 (PCM)
- BE/B.Tech (four year course) agar kisi engineering college se kiya gaya ho.
- BE/B.Tech all India best engineering college se kiya ho.
- ME - BE+GATE
- Enterance Exam - IIT-JEE, MH-EN-CET
Electronic Engineer
Electronic engineer ko consumer electronic equipment, jaise- radio, television, computers, washing machine se lekar dish, antenna, communication setellite, radar system etc ki design or productio ki purn jankari honi chahiye.Eligibility - Technical or numerical ability, acchi communication skill, team work or ledership ki skill, technology me dischaspi, drawing banane me mahir, sahi decision lene ki skill etc.
Education-
- Diploma - 10
- BE/B.Tech - 10+2 (PCM)
- BE/B.Tech etc kisi bhi engineering college se kiya gaya ho.
- BE/B.Tech all India best engineering college se kiya gaya ho.
- ME - BE+GATE
- Entrance Exam - IIT-JEE, MH-EN-CET
Architecture
Architecture ka kaam building design or plan karna hai. Yani Architecture ka kaam artistic, technological or sociological sabhi ka mixture hai. Client se baat karke aapko sabse pahle building banane ka objective, jarurat or project ka budget janana hota hai. Uske hisab se fir design or jaruri jankariya client ko di jati hai. Uske mutabik hi fir final construction plan hota hai.Eligibility - Design banane ki kusalta, apne ideas ko kalpana me badalna or sahi tarike se pes kar pana, rachnatmak hona, khuli soch rakhna.
Education -
- B.Arc - 10+2 (Math and English) 60% ke sath, (five years course) + Mh-AR-Cet
- 10+2 (science) +AIEEE (sirf science ke students ke liye)
- Entrance Exam - IIT-JEE, MH-EN-CET
Physiotherapy
Physiotherapy saririk taklifo ko dur karna ka kaam karte hai. Kai bimari, chot lagne ya fir kisi asamanyata ki wajah se body system me taklif paida ho jati hai.Education -
- BPTH - 10+2 (PCB) + MH-CET (medicine)
Veterinary Science
Janwaro ke doctor ko Veterinary doctor kaha jata hai. Inhe janwaro ki bimariyo or unki chot, ghaw etc ka treatment karna padta hai.Eligibility - Janwaro ke prati prem ki bhawna hona sabse jaruri hai. Unke vyawahar or vikas ke bare me purn jankari hona chahiye.
Biotechnology
Biotechnology me kai subject ko samil kiya ja sakta hai, jaise - biology, math, physics, chemistry or engineering. In sabka prayog kisi product ka utpadan badhane ke liye ya usme sudhar lane ke liye jivit koshikao par kiya jata hai. Biotechnology kai chojo me faidemand hai. Khady padarth me poshtikta badhane ke liye, flavor badhane ke liye, jivanuo se ladne ki capibility ke liye. Aaj Biotechnology field teji se aage badh rahi hai, Biotechnology me post graduate degree prapt karne ke bad aap kisi bhi corporate ya government sector se jud sakte hai.Education-
- BSC - 10+2 (PCB) 3 years cource
- B-Tech - 10+2 (PCM)
- MSC -BSC in life science (Biocheistry, Botany, Zoology, Microbiology) ya MBBS
- B.Farm/BDS
- M.Tech - 2 years cource. Integrates IIT - 10+2 (PCM) + IIT JEE
Dentistry
Daant sambandh bimariyo ko dur karne ka kaam dentist karte hai. Yah cource 5 saal me pura kiya jata hai. 2 saal pre clinical, 2 saal clenical or 1 saal internship me .Education -
- BDS - 10+2 (PCM) + Enterance Exam MH-CET (medicine)
Information Technology/ IT/ Computers
Aaj ki sabse badi jarurat se juda or sabse fast speed se aage badhne wala carrier hai Information Technology. Electrical or Computer engineering ke field me iski demand or bhi badh gai hai. Is carrier me future bright hai.Education -
- Univercity se BSC computer science ya 2 saal ka MCA course kar sakte hai.
- Computer management me PG diploma kar sakte hai.
- Private institute se bhi kai tarah ke course hote hai.
- Is carrier me future bright hai.
Aviation
General duty branch - Yah course guard ki operational branch hai. Isme aap general duty officer ka position prapt kar sakte hai, jiska kaam yaan ki suraksha hai. hathiyaro ka prayog bhi aapke kaam ke antargat aata hai. Aap air-force pilot ban sakte hai.Technical Branch - Aap chahe totechnical branch se bhi ja sakte hai. yaha aapko jyadatar samay ship par nikalna hai. Pani ke jariye koi apradhik gatividhi to nahi ho rahi hai. Iski bhi nigrani rakhni hai.
Agar aapka subject physics or math hai to +2 ke bad aap is field me try kar sakte hai. Yaha general duty branch me assistant commando ka position hota hai.
Commercial Pilot
Commercial pilot ka job bahut hi dilchasp or romanchak hai, sath hi responsibility ka bhi hai.directorate genaral of civil aviation ke under me kuch institute hai, jo training dene me kary karte hai. Inme me mukhy hai - Indera Gandhi Academy, Raibarali . Iske alawa Mumbai or Delhi ke Flying Club me bhi training milti hai.Eligibility -
- +2 pass
- Age 18
- Iske liye aapko 10+2 (physics or math) pass hona chahiye or medical fit hona chahiye.
NAVY
Agar aap ek romanchak carrier cunana chahte hai , to NAVY me ja sakte hai. Indian NAVY ka kary costline ki suraksha karna hai.Education -10+2 (physices + math)
Ex-Naval officer marchent NAVY me captain, electrical ya engineering officer ka position prapt karte hai ya fir sipping company me chune jate hai.
Air-Force
Indian air-force ka kaam hai satru ke aircraft ya helicopter se desh ka bachaw karna. Iske alawa technical wark bhi samil hai, jaise - aeronautical, electronic or computer engineering, admistrative, finencial or management duties. Isme specialization bhi kiya ja sakta hai. Iski 4 branch hai, flying branch, technical branch, ground duties branch or short camision farm vuman.Education -
- NDA (Army) 10+2
- NDA (airforce/navy) 10+2 (Physics+math)
- iske alawa aap BMS (bachelor of management studies) BMM (Bachelor of mass media) etc bhi kar sakte hai.
ARTS
Agar aapka subject Arts hai to aap in carrier ka chunaw kar sakte hai.Journalist
Agar aapki lekhanshaili acchi haito aap publication me ja sakte hai, electronic media or web me bhi kafi scope hai. Isme aapko jis vishay me dilchaspi hai, usi field me aage badh sakte hai, jaise - politics, sports, entertainment, business, finance ya fashion. Isme aap ye pad prapt kar sakte hai- reporter, chief reporter, ficher writer, corospondance, etcEducation - BMM- journalist me specialization kar sakte hai. PG diploma in journalism ke liye aapko graduate hona jaruri hai. Yah 1 saak ka or kahi-kahi 2 saal ka course bhi hai.
Psychology
Manav mastisk or vyawahar ko samajhna hi psychology yani manovigyan hai. Vyakti ki yarddast, bhawnao, uske vicharo ka addhyan ye sab manovigyan me aata hai. Aap inme se kisi me bhi specialization kar sakte hai, jaise - clinical psychologist, councelling psychologist , school psychologist, social psychologist etc.Education -
- BA/BSW - psychology me
- MA/MSW - BA
Teaching
Agar aap baccho ko padhane me ruchi rakhte haito teaching ko carrier bana sakte hai.Education -
- ECCE - 10+2
- D.Ed - 10+2
- B.Ed - Kisi bhi field me graduate
- NT/SET - Post graduate
Law
Agar aapme tark-vitark karne ki kshamta haito apni baat ko puri tarah proof karne ki kshamta rakhte ha, to aapko LAW chunana chahiye.12 ke bad aapko BA, LLB (Hons) ka 5 saal ka course karna hoga. BMM, LLS bhi 5 saal ka course hai. Agar aapka vishay science ya commerce hai to bhi yah kiya ja sakta hai Iske bad BM isay kar sakta hai.
Hotel Management
Hospitality Industry me 24 ghante ka kaam hota hai. isme 4 mukhy field hai. Food production, Food and bevrages service, house-keeping or front office. Iske alawa general manager, lobby manager or sell and marketing ke position bhi hote hai.Education-
- BSC/BA/ Hotel management me degree + entrance exam + group discussion + interview
- hotel management ka course 4 saal ka hota ha, diploma course 5 saal ka hota hai.
Commerce
Agar aapne commerce liya hai to aap 12th ke bad accounting ya corporate finance me kaam kar sakte hai. Iska matlab hai ki kisi bhi business ki financial jankari se related baatain. Corporate finance me kaam karne ka matlab hao company ko uske business chalane me paise related upay batana, business ko badhana, sabhi financial matter suljhana. Iske liye aapki math acchi honi chahiye, har problem ko solve karni ki capability honi chahiye. Chijo ko jaldi samajhne ki pakad honi chahiye.Course - Charted Accountant (CA- 5 saal ka course) , graduation ke bad 4 saal ka, company secretaryship (CA 4 saal ka course, graduate ke bad 2 saal ka) , Charted financial annalist (iske liye graduate hona jaruri hai- 2 saal ka)
No comments:
Post a Comment