January se march tak tin mahine ka samay exam ki preparation ke lihaj se bahut hi important hota hai . Is douran students apne future ka aim khud likhte hai . Kyonki inhi tin mahino ki preparation par exam me safalta ya asafalta depend karti hai , isliye family ke sabhi members ko chahiye ki ve students ko study ka sahi surrounding de , taki bahari duniya se apna dhyan hatakar usay study par maind concentrate karne me problem na ho . Magar jyadatar log yah nahi jante ki asal me ek student ko study ke liye kis tarah ka mahol jaruri hai . Small family me to kisi tarah student ke liye alag room ki arrangement ho jati hai , par bade pariwaro me yah possible nahi ho pata . As a result student TV , Music ke shor-sharabe me hi study karne par majbur hote hai . Jab shor ek haad se jyada badh jaye , tab dusri koi shant jagah talashne ke alawa koi rasta nahi rah jata . Is jyadati ke badle exam result acche na aane par student ko hi akele kasurwar nahi thahraya ja sakta . Isliye jaruri hai ki baccho ko unki padhai ke liye sahi watavaran uplabdh karaya jaye .
Aaiye , dekhe ki student ko exam ki tayyari ke liye kaisa mahol chahiye -
Shant - hawadar kamara .
Agar bacche ka kamra alag hai , to is baat ka dhyan rakha jana chahiye ki waha se na to sadak ka shor-sharaba or yatayat se koi badha aaye or na hi khidaki ya chhat se bahar ka najara dikhe , kamre ki banawat aisi ho , taki usme prayapt matra me hawa or roshni aaye . Is baat ka bhi khyal rakhe ki ghar-pariwar ke denik kaamkaaj or gatividhiyo se student ko koi problem na ho or na hi bar-bar bacche ke kamre me jakar koi usay disturb kare .Biathne ki jagah .
Padhne wale bacche ko hamesha chair me baithkar hi apni padhai karni chahiye . Iske alawa yah bhi jaruri hai ki baithne ki jagah ke samne prayapt prakrutik prakash , hawa etc ki vyawastha ho . Baithne ki jagah fixed honi chahiye . yaha-waha bikhri kitabe , copies ya notes etc student ko har jaruri chij lene ke liye uthne par majbur karte hai or issay uska dhyan bhang hota hai .Agar ek hi kamre ka upyog do bacche kar rahe ho , tab unki table alag or ek-dusre se dur honi chahiye . Dono tables ke bich itna fasla ho ki ve aapas me ek-dusre ko disturb na kar sake .
No comments:
Post a Comment