Saturday, 29 July 2017

Aptitude Test Kaise Pass Kare ?


Kisi bhi nokari ko pane ke liye aptitude test dena hota hai. Jise pass karne ke bad interview qualify karna hota hai or tab kahi jakar milti hai nokari. Government Job ke written aptitude test to common baat hai lekin ab private jobs me bhi students ka aptitude check karke hi job par rakha jata hai.

Ye Aptitude Test Kya Hai ?

Aptitude test ka maksad candidate ke talent ko pahchanana hota hai. Isay psychometric Test bhi kahte hai. ye physical or mental dono ko sakte hai.

Kaise Pass Kare Aptitude Test ko ?

Purane Questions Solve Kare

Agar aap aptitude test ki preparation kar rahe hai to last year ke purane question paper jarur solve kare. Issay na sirf aapki practice hogi balki speed bhi badhegi. Practice karte samay time limit ka dhyan rakhe.

Time Management

Purane questions process se practice karne se kuch dino bad Mock Test Paper ko solve karna suru kare. Issay aap apne time management skill ko develop kar sakenge.

Pahle 5 Question Par Focus Kare

Agar aap computerized aptitude test de rahe hai to sabse pahle suru ke 5 question ko dhyan se solve kare. Aisa isliye kyonki kai bar aisa hota hai ki computarized test se suru ke 5 question kafi tough hoe hai. Agar aapne in 5 questions ke sahi answer de dete hai to aapke overall score me badhat ho sakti hai.

Answer Dene Se Pehle Question Ko Acchi Tarah Read Kar le

Aksar aisa dekha gaya hai ki aptitude test me words or passage twist kar diya jate hai. Aise me answer mark karne ki kosis na kare. Questions ko acche se padhe tabhi answer de.

Answer Dene Se Pahle 2 Bar Soche

Agar kisi question me confusion ho to final answer mark karne se pahle kam se kam 2 bar jarur check kar le.

Sabhi Questions Ke Answer De

Agar aap sare aptitude questions solve nahi karte hai to sahi jawab dene ke bawjud aapke overall score par bura asar pad sakta hai. Aise me sabhi questions ke answer jarur se jarur de.

Negative Marking Se Bache

Aptitude test me do case dekhe gaye hai. Pahle blank answer dene par negative marks or dusara wrong answer dene par negative marks. Aise me question paper ko dhyan se read kare or negative marking se bache.

Sequence Me Question Solve Na Kare

Question paper ko sequence me solve karne se bache. Easy questions ko pahle solve kare. Issay na sirf aapka time bachega balki confidence bhi improve hoga.

Exam Se Pehle Khud Par Dhyan Rakhe

Exam me good performance dene ke liye ye bahut jaruri hai ki aap apne health ko halke me na le. Exam ke ek din pahle 8 ghante neend le or healthy food khaye.

No comments:

Post a Comment

9 Amazing methods to boost your self-confident

No one can deny that self-confidence is a very important quality to achieve success in life. In every person who has reached a certain poin...