Saturday, 29 July 2017

Study Skill Ko Kaise Improve Kare ?


Exam me acche marks lana koi difficult kaam nahi hai. Iske liye sabse jaruri hai ek acche study plan ki jo study karne ka sabse best tarika hai. Jab hum study karte hai to kai bar kai subjects hume kathin lagte hai. Kabhi kisi topic ko samajhne me dikkat aati hai, kabhi-kabhi hum bhul jate hai, kabhi hamara padhai me maan nahi lagta hai. Is sabhi problems ke liye jaruri hai ek behtar plan, jissay aap carrier me success pa sakte hai.

Time Management

Acche se study karne ke liye pahle aap apne syllabus ko check kar le or usi ke hisab se timetable banaye. Agar aapne ghanto padhai ki ho or uske bawajud aapka C Grade aaye to iska matlab hai ki aapne ek plan ke tahat apni padhai nahi ki. Isliye pahle acche se apne topic check kar le. Iske bad har subjects ke liye timetable bana le or usi ke anusar tayari kare.

Dhyan Lagana

Dhyan lagakar padhna behad jaruri hai. Behtar study ke liye topic ko dhyan se padhe. Aap ye soch le ki aapko ye topic kisi bhi bina bina kitab ke samjhana hai to aap isay behtar tarike se samajh payenge. Iske liye aap ekant me bol-bol kar bhi padhai kar sakte hai.

Short-notes Banaye

Jab aap ye samajh jaye ki kitna samay kis topic par dena hai to uske bad aap un topics ke short-notes bana sakte hai, jisme kam se kam us subject ke bare me puri jankari mil sake.

Revision

Exam se pahle sabse jyada jaruri revision karna hota hai. Exam ke kuch din pahle se tay kar le ki in dino me sirf or sirf revision karna hi hai. Kai sari aisi chije hoti hai jise aap exam se pahle to padh lete hai, lekin bad me bhul jate hai.. Is galti se bachne ke liye revision jarur kar le.

Tough Subject Ko Kab Kare Yaad ?

Jis samay aap sabse jyada energetic feel karte ho , us samay kathin chijo ko samajhne ka prayas kare. Matlab subah ke samay aap kathin subjects ko acche se samajh sakte hai. Samajh me na aane par usay kisi ki help se solve kare.

No comments:

Post a Comment

9 Amazing methods to boost your self-confident

No one can deny that self-confidence is a very important quality to achieve success in life. In every person who has reached a certain poin...