Saturday, 29 July 2017

Padhai Me Maan Na Lage To Kya Kare ?


Kabhi na kabhi har studenet ye kahta hai ki " yaar padhai me maan hi nahi lagta kya karu ? Study ke liye planning to kar rakhi hai par kabhi padh nahi pata, lagta hai exam me pass hona thoda muskil hai. " Is tarah ki baatin jo aap kahte or sochte hai wo aapke confidence ko kam karti hai, agar aapko sach me lagta hai ki aapka maan padhai me lahi lag raha to aapko un chijo ko khud hi khojana hoga jo aapka confidence ko kam kar rahi hai. Jaise ki aap kisi se pyar karte ho , to har waqt dimag me wo hi najar aayegi.. agar dimag me sirf apne pyar ka khyal aayega to study me maan kaise lagega.. Aise hi aapko ye pata karna hoga ki kis wajah se aap apne padhai me maan nahi laga pa rahe. Aise hi kuch wajah hai jo hum aaj is article me share kar rahe hai jiski wajah se student apni padhai me thik se dhyan nahi laga pate..

Ghar ka mahol

Kai gharo ka mahol aisa hota hai ki padhai karna kisi saja se kam nahi. Jis ghar me aay-din jhagade hote hai , waha har family member ke dimag me tension rahta hai .. jab bhi aap padhai ke liye baithte hai to aapke dimag me wahi baatain chalti rahegi, ghar ka tension bhari par jata hai padhai ke tension pe.
Agar study room aisi jagah par hai jaha har waqt sor-sarab hota rahta hai to padhai karne me maan kaha lagega.. Aisi situation me aap raat ke samay study kar sakte hai jab sab so rahe ho ya jab mahol shant ho. Aap apne friends ke ghar group study ka bhi plan bana sakte hai.
Kisi library ka membership le le or wahi jake apni study kare.

Padhai ke liye jaruri material ka na hona

Aajkal compitiotion ka dor hai. Exam compete karne ke liye market me nayi-nayi books available hai , lekin agar wahi books aapke pas na ho to aap thoda asahaj feel karte hai jiski wajah se aapka maan apne padhai me nahi lagta.

Bahana Banana

Chalo aapke pas sari study material hai , ghar ka mahol bhi accha hai.. par aapka maan lagta hi nahi study me to kya kare ? Kuch student apne padhai se picha chudana chahte hai , wo sochte hai ki koi aayega or samjhayega.. par aisa hota hi nahi, mujhe bhi ye feel hota tha jab me 7th class me tha..
fir ek din mere dimag ki batti jali, main samajh gaya study ke liye kisi par dependent nahi hona hai balki self dependent hona hai. Ek baat aapne jarur notice ki hogi jab aap kuch read kar rahe ho or wo aapko samajh me na aaye to aap apne friend ya teacher se puchte ho .. Jab aapka friend ya teacher wo chij ko aapko read karke sunata hai to aapka bahut jaldi samajh me aa jata hai , pata hai iska karana kya hai ... aap dependent ho gaye ho, ..

To padhai me maan kaise lagaye ?

Jab exam ke dar se padhai me maan lagna bilkul band ho jaye to us samay sirf ek important lesson ya question par concentrate kare. Usay puri tarah se samajh kar yaad kar le . Ek question hone ke bad maan khud-ba-khud hi dusare question me lagne lagega.

Apne lessons ko divide kare

Padhai me maan nahi lagne ka ek karan ye bhi hota hai ki samay ka abhaw or syllabus bahut jyada hona. Aise me apne subect ke lessons ko divide kar important lessons ki tayyari kar le to 80% tak ki tayyari 50% samay me ho jati hai.

Khud ko motivate kare

Padhi me maan nahi lag raha hai , is baat ko lekar na baith jaye balki un palo ko yaad kare jab aap success huye the. Apne aap ko bharosa dilaye ki aap pahle bhi exam ko face kar chuke hai or acche numbers se pass bhi huye hai. Or is exam me bhi aap bahut acche number se pass honge. Aisa sochne se aap motivate honge or padhai me bhi maan lagega.

Aim Banaye

Kai bar hum ek sath kai aim lekar chalte hai or hume lagta hai ki agar ek aim na mil paya to dusara hi sahi, lekin is tarah koi bhi aim nahi milta. Ek samay me ek hi aim lekar chale or us ke bare me puri jankari jutaye. Jaise syllabus kaisa hai, question question kaise aate hai, study ke liye books kaha se milegi,  choching leni hai ya self study karni hai.

Table pe study kare

Kuch students ko let kar padhne ki aadat hoti hai. Aisi position me jo bhi padha jata hai usme se aadhi to student bhul jata hai, usay kuch yaad rahta hai or kuch nahi rahta. Lekin samajh samajh kar kiya gaya sawal dimag me hamesa yaad rahta hai or wah kabhi nahibhulata. Isliye ratne ki bajaye samajh kar padhe.

In chijo se rahe dur

Padhai ke samay TV, Mobile, games jaisi chijo ka istemal na kare kyonki in ki wajah se padhai me maan nahi lagta or maan bhatak jata hai. Is ke mobile ke pas hone se barbar aane wale message par dhyan jyada rahta hai or padhai par kam.  Aisi chijo se dur rahe taki aapka dhyan padhai me laga rahe.

Notes bana kar padhe

Padhe huye ko likhte bhi jaye. Issay aapki concentration bhi bani rahegi or aapka notes bhi tayyar ho jayega. Exepert ki mane to agar aap notes banake study karte ho to aapka dhyan aapki study me hi rahta hai, kyonki dimag ek bar me ek hi chij ke bare me sochta hai . Jab aap study ke sath notes banayenge to aapka dhyan study karne me or usne notes banane me laga rehega. Or apne banaye huye notes ki wajah se exam ke samay aapko revision karne me bhi aasani hogi. To study ke sath notes bhi banaye.

Group Study kare

Group study karne se ye pata chal jata hai ki hum apni study me kitne aage hai .. Agar friends ke sath group study kiya jaye to ek dusare ke study talent ko gain kar sakte hai. Group study ka ek or fayda hai ki agar aapke grop me koi friend bahut hi talented hai to aapko unse padhai ke liye motivation milti hai , jiki wajah se aapka padhai me dhyan laga rahega.

To friend ye thi kuch tips jise follow karke apne aapko padhai ke prati motivate or inspire kar sakte ho. Aapko ye post kaisi lagi comment ke jariye bataye. Thanks

No comments:

Post a Comment

9 Amazing methods to boost your self-confident

No one can deny that self-confidence is a very important quality to achieve success in life. In every person who has reached a certain poin...