Saturday, 29 July 2017

How To Concentrate In Study ? In HINDI


Students ki sabse badi problem ye hoti hai ki wo padhai me concentrate nahi kar pate iski 3 reasons hoti hai ya to aapne jo subject chuna hai aapke andar uska interest nahi hai, agar aapke andar interest hai to aapke andar aptitude (kabiliyat) nahi hai or agar aapke andar aptitude bhi hai to utni mehnat karne ka attitude nahi hai.

Interest ki khasiyat ye hoti hai ki interest bar-bar badalta hai, aisa kyon hota hai ? kyon ki koi bhi chij starting me bahut easy hoti hai jaise-jaise hum uske andar aage badhte chale jate hai hume malum chalta jata hai ki ye bhi chij bahut difficult hai Or jaise-jaise difficulties badhti jati hai waise-waise us chij me interest kam hota chala jata hai.
Aisa kyon hota hai? aisa isliye hota hai ki jaise-jaise difficulties badhti chali jati hai waise-waise hume apni capability ka andaja hota jata hai. Kabiliyat yani aptitude. Aptitude constant hota hai yani aptitude hota hai ya fir nahi hota hai. Bahut jyada mehnat karke isko thoda sa badhaya ja sakta hai. Yani chahe me jindagi bhar bhi doudane (running) ki practice kyon na karta rahu , Hussan Bolt ko nahi haar paunga. 

To baki ke khiladi utne acche kyon nahi doud pate? Isliye nahi doud pate kyonki wo utni mehnat nahi karte jitne ki Bolt karte hai.

Yani ki kabiliyat hone ke bad bhi bahut jyada mehnat karni padti hai. Maan lete hai ki aap kisi competitive exam ki tayari kar rahe hai to iska sidha-sidha sa matla to ye hota hai ki aapke andar interest hai kyonki aap graduate hai, ye bhi manana padega ki aapke andar aptitude hai, ye bhi manana padega ki agar aapne jyada padhai kari hoti to aapke jyada marks aa jate or mehnat bhi kar lete par isliye nahi kar paye ki padhai me maan nahi lagta tha, concentrate nahi kar pate the.

Ap sabse pehli chij to aap ye samajhiye ki padhai me maan lagane ka koi tarika nahi hota par concentrate fir bhi kiya ja sakta hai.
Concentarte karne ka sabse aasan tarika ye hota hai ki aap jab bhi padhne baitho aap 5 pages mark kar do or jab tak aap wo 5 pages ko pura padh na do tak tak dusar kaam suru mat karna. Or ye jo 5 pages hai aapko inhe padhna hai, sirf padhna hai or padhne ke alawa kuch bhi nahi karna hai. Na aapko concentrate karna hai or na aapko isay yaad karne ki kosisi karni hai.

Ab sawal ye uthata hai ki kya ek bar padhkar  ye chij yaad ho jayegi ? Yaad hi to nahi karna hai hume, hume isay samajhne ki kosis karni hai. Agar ye chij hume ek bar me samajh aa gai to isko yaad karne ki jarurat hi nahi rah jayegi. Par ek bar padhkar to mujhe kuch bhi samajh nahi aata to koi baat nahi dusri baar padho. Dusari baar padhke bhi mujhe bahut kuch samajh me nahi aata to koi baat nahi tisari baar padho. Tisari baar phi padh ke mujhe kuch samajh me nahi aata to koi baat nahi chouthi baar padho or agar chouthi baar bhi padhkar samajh na aaye to is padhai ko chod dena kyonki iska sidha-sidha matlab ye hai ki aapke andar aptitude nahi hai. Aapko or kuch karna chahiye.

sabse pehli chij to aap ye samajh lijiye ki duniya ka sabse aasan kaam padhai karna hota hai. Aap kheti kar lo, business kar lo, sports kar lo, usme bahot... bahottt... bahoootttt... jyada mehnat lagti hai. Agar aap us mehnat ko padhai ki mehnat se compare karoge to aap dekhoge ki padhai ki mehnat karna kuch hota hi nahi.
So kar utho kitab kholo or padhai karne baith jao. Na concentrate karne ki jarurat hai nahi maan lagane ki jarurat hai . sirf padho. Mobile ko lagao airplane mode pe, 5 page mark karo or jab tak ki wo 5 page khatam nahi ho jate kuch bhi mat karo. Concentrate karne ki bilkul bhi jarurat nahi hai. Hume sirf padhna hai or wo bhi sirf 5 page.

Agar aap college ya school ke student hai to school ya college ke alawa 4 ghante ki padhai sufficient hai

No comments:

Post a Comment

9 Amazing methods to boost your self-confident

No one can deny that self-confidence is a very important quality to achieve success in life. In every person who has reached a certain poin...