Saturday, 29 July 2017

Top 5 Study Secrets In HINDI


  • Kya aapka maan padhai me nahi lagta ?
  • Kya aap jo bhi kuch padhte hai wo bhool jate hai ?
  • Kya aapko bhi studies me top karna hai ?
To follow kare ye top 5 study secretes ko or jo aapko apne exam me better mark dilwane me help karegi.. To aaiye jante hai-

1. Ek Hi Samay Me Sab Kuch Padhne Ki Koshish Na Kare.

Lagatar kai ghanto tak baith kar ek hi bar me sab kuch padh lene ki koshish bilkul bhi na kare. Aisa karne se aap kafi had tak thak jayenge or aapko kuch bhi padha hua yaad nahi rahega. Iske bajaye aap apne studies ke bich me thoda time gape rakhiye. Jaise ki agar aap padhai karte huye lagbhag 50-60 minute ho chuke hai to bich me ek 10 minute ka break jarur le lijiye, thoda idhar-udhar ghum lijiye , thoda mind fress karne ke liye thoda kuch kha lijiye.. Issay ye hoga ki aap fresh fill karenge. To break lene se pehle or break lene ke baad jo bhi kuch bhi aapne padha hai wo sab aapko hamesa yaad rahega or aap exam me kuch bhi nahi bhulenge.

2. Study Ka Ek Time Banaye.

Roj ek hi time pe padhne se aapke ek routing ban jata hai. Jaise ki aapke sone or khane ka time fixed hai waise hi apne padhne ke time tixed ho jayega, issay aap padhai ke liye mentally prepare rahenge. Jaise agar padhne ka time saam ko 6 baje se lekar 8 baje tak ka fixed kiya hua hai to roj isi time padhe, aisa na kere ki aapne thoda dopahar me padh liya, kabhi thoda saam ke time me padh liye. Issay ek momentum nahi ban payega, aapka concentration nahi ban payega. Jo bhi aap padhenge wo aapko yaad nahi hoga, aap bahut jaldi usay bhool jayege.

3. Apna Target Or Goal Set Kare.

Ye bahut important poin hai ki aap ek goal ya tarket ke sath padhne baithe. Sirf padhne se kaam nahi chalega, aapko jarurat hai ki ek define goal ke sath padhne ke liye baithe. Jaise ki aaj jab aap padhne baithenge to ek topic ko pura padh lengeya fir ek topic ko pura review kar lenge. Aapka apna ek goal hona chahiye. Agar aap is tarah ke goal ko lekar padhne ke liye baithenge to aapko apni progress ke bare me malum chalega ki aapne ab tak kitna syllabus cover kar diya hai, aapko kitna aata hai or kitna kuch sikhna baki hai, aapke revision me kitna kuch baki rah gaya hai.

4. Notes Banaye.

Padhai karte samay important maths formula ya history ki important dates etc ko aap note me likh lijiye. Ek note book banaiye usme ek jagah likh lijiye. Issay aapko 2 faide honge , ek to exam se pahle aap easily revise kar payege or dusara aapko sab kuch bahut easily yaad rahega.

5. Study Ke Samay Kisi Se Baat Na Kare.

Focus hokar padhne ki liye jaruri hai ki aapke padhai me kisi bhi tarah disturbance bilkul bhi na ho. Apna mobile phone switch Off kar dijiye , facebook logout kar dijiye, kisiko whatsaap reply mat kijiye. Agar padhte samay koi aapko deisturb kar raha hai, ya fir aapke hi ghar wale aapko aawaj de rahe hai to aap unse kahiye ' main abhi padh raha hu , padhne ke bad aapki baat jarur sunuga. Lekin please abhi aap mujhe padhne dijiye. '

To friends ye the top 5 study secrets, study tips jinko aap apni personal life me implement karke bahut hi amazing result pa sakte ho.

No comments:

Post a Comment

9 Amazing methods to boost your self-confident

No one can deny that self-confidence is a very important quality to achieve success in life. In every person who has reached a certain poin...